Wednesday, May 12, 2010

Meer Taqi Meer's Ghazal


Hum hoye, tum hoye, ke Meer hoye,
Uski zulfon ke sab aseer hoye

Nahi aate kiso ki aankhon mein aanson,
Ho ke aashiq buhut haqeer hoye

Aagay ye be adayiyan kab thein
In dino tum buhut shareer hoye

Apne rote hi rote sehra ke,
Goshe Goshe mein aabgeer hoye

Yaane manind e subh dunya mein,
Hum jo paida hoye so peer hoye

Mat mil ehl e dwal ke larkon se,
Meer ji un se mil ke faqeer hoye !!






Meher ki tujh se tawaqqu thi sitamgar nikla,
Moom samjhe the tere dil ko so patthar nikla !

Jeete ji aah tere kooche se koi na phira,
Jo sitam deeda raha ja ke, so mar nikla !


Dil ki aabadi ki is hadh hai kharabi ke na pooch,
Jana jata hai ke is raah se lashkar nikla !

Ashk tar, qatra khoon, lakht e jigar hijraan ne,
Is dafeene mein se aqsaam jawahar nikla !

Hum ne jana tha likhega koi harf aye Meer,
Par tera nama to ek shoq ka daftar nikla !!










Us ka khuraam dekh le jaya na jayega,
Aye kabak phir bahal bhi aya na jayega !

Hum kushtgaan e ishq hain aabru o chashm e yar
Sar se hamare tegh ka saya na jayega !

Hum rehrwan e rah e fana hain, barang e Umr,
Jawenge aise khooj bhi paya na jayega !

Phora sa sari rat jo pakta rahega dil,
To subh tak to hath lagaya na jayega !

Apne shaheed e naz se bas hath utha kar phir,
Deewan e hashr bhi use laya na jayega !

Ab dekh le ke seena bhi taza hawa hai chaak,
Phir hum se apna haal dikhaya na jayega !

Go bastiyon ko taal de aage se kohkan,
Sang e giran e ishq uthaya na jayega !

Yaad uski itni khoob nahi Meer baaz aa,
Nadaan! phir wo ji se bhulaya na jayega !!









1 comment: