Sunday, November 28, 2010

मिर्ज़ा ग़ालिब की शायरी - Mirza Ghalib Shayari - Desh Ratna's Collection.

naqsh fariyaadee hai kiskee shoKHee-e-tehreer ka ...

naqsh fariyaadee hai kiskee shoKHee-e-tehreer ka
kaaGHazee hai pairhan har paikar-e-tasweer ka

kaave-kaave saKHt_jaanee haay tanhaaee na pooch
subah karna shaam ka laana hai joo-e-sheer ka

jazba-e-be_iKHtiyaar-e-shauq dekha chaahiye
seena-e-shamsheer se baahar hai dam shamsheer ka

aagahee daam-e-shuneedan jis qadar chaahe bichaaye
mudda'a 'anqa hai apne aalam-e-taqreer ka

bus ke hooN 'GHalib' aseeree meiN bhee aatish zer-e-pa
moo-e-aatish_deeda hai halqa meree zanjeer ka

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa ...

tere waade par jiye ham to ye jaan jhooT jaanaa 
ke KHushee se mar na jaate agar 'eitabaar hota

ye na thee hamaaree qismat ke wisaal-e-yaar hota
agar aur jeete rehte yahee intezaar hota

ye kahaaN ki dostee hai ke bane haiN dost naaseh
koee chaarasaaz hota, koee GHamgusaar hota

kahooN kis se maiN ke kya hai, shab-e-GHam buree bala hai
mujhe kya bura tha marna ? agar ek baar hota



zikr us pareewash kaa, aur phir bayaaN apnaa ...

zikr us pareewash kaa, aur phir bayaaN apnaa
ban gayaa raqeeb aaKHir thaa jo raazdaaN apnaa.

Main wo kyoN bahut peete bazm-e-ghair meN yarab
Aaj hi hua manzoor un ko imtihaaN apna.

manzar ik bulandee par aur ham banaa sakte
'arsh se idhar hotaa kaash ke makaaN apnaa.

De woh jis qadar zillat hum haNsee meN taleNge
Baarey Aashna nikla unka paasbaN apna.

dard-e-dil likhooN kab tak? jaaooN unko dikhlaa dooN --
uNgliyaaN figaar apni KHaamaa_KHooN chakaaN apnaa.

ghiste ghiste mit jaata aap ne ????? badla
naNg-e-sajdaH se mere sang-e-aastaN apna.

ta kare na ghammazee, kar liya hai dushman ko
dost kee shikayat meN hum ne hum-zabaaN apna.

ham kahaaN ke daanaa the? kis hunar meiN yaktaa the?
be_sabab huaa 'GHalib' dushman aasmaaN apnaa.



miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN...

miltee hai KHoo-e-yaar se naar iltihaab meiN
kaafir hooN gar na miltee ho raahat 'azaab meiN

kab se hooN, kya bataaooN jahaan-e-KHaraab meiN ?
shab haaye hijr ko bhee rakhooN gar hisaab meiN

taa fir na intezaar meiN neeNd aaye 'umr bhar
aane ka 'ahad kar gaye aaye jo KHwaab meiN

qaasid ke aate-aate KHat ik aur likh rakhooN
maiN jaanta hooN jo woh likhenge jawaab meiN

mujh tak kab unkee bazm meiN aata tha daur-e-jaam
saaqee ne kuchch mila na diya ho sharaab meiN

jo munkir-e-wafa ho fareb us pe kya chale ?
kyooN badGHumaaN hooN dost se dushman ke baab meiN ?

maiN muztarib hooN wasl meiN KHauf-e-raqeeb se
Daala hai tumko weham ne kis pech-o-taab meiN


mai aur haz'z-e-wasl, KHudaa_saaz baat hai
jaaN nazr denee bhool gaya iztiraab meiN

hai tevaree chaDee huee andar naqaab ke
hai ik shikan paDee huee tarf-e-naqaab meiN

laakhauN lagaav, ik churaana nigaah ka
laakhauN banaav, ik bigaaDna itaab meiN

woh naala_dil meiN KHas ke baraabar jagah na paaye
jis naale se shigaaf paDe aaftaab meiN

woh sehar muddaa talbee meiN na kaam aaye
jis sehar se safina ravaaN ho saraab meiN

'GHalib' chutee sharaab, par ab bhee kabhee-kabhee
peeta hooN roz-e-abr -o- shab-e-maahtaab meiN



maze jahaan ke apnee nazar meiN ....

maze jahaan ke apnee nazar meiN KHaak naheeN
siwaay KHoon-e-jigar, so jigar meiN KHaak naheeN

magar GHubaar huve par hawa uDaa le jaaye
wagarna taab-o-tavaaN baal-o-par meiN KHaak naheeN

yeh kis bahisht_shamaail kee aamad-aamad hai ?
ke GHair jalva-e-gul rahguzar meiN KHaak naheeN


bhala use; na sahee, kuchch mujhee ko raham aataa
asar mere nafas-e-be_asar meiN KHaak naheeN

KHayaal-e-jalva-e-gul se KHaraab hai maikash
sharaabKHane ke deewar-o-dar meiN KHaak naheeN

huwa hooN ishq ki GHaaratgaree se sharminda
siwaay hasrat-e-taameer ghar meiN KHaak naheeN

hamaare sher haiN ab sirf dil_lagee ke 'Asad'
khulaa ki faayda arz-e-hunar meiN KHaak naheeN



jis bazm meiN too naaz se guftaar meiN aave...

jis bazm meiN too naaz se guftaar meiN aave
jaaN kaalbud-e-soorat-e-deewaar meiN aave

saaye kee tarah saath firaiN, sarv-o-sanobar
too iss qad-e-dilkash se jo gulzaar meiN aave

tay naaz-e-giraaN_maaygi-e-ashq baja hai
jab laKHt-e-jigar deeda-e-KHooNbaar meiN aave

de mujhko shikaayat kee ijaazat ki sitamgar
kuchch tujhko maza bhee mere aazaar meiN aave

uss chashm-e-fusooN_gar ka agar paaye ishaara
tootee kee tarah aaeena guftaar meiN aave

kaatoN kee zabaaN sookh gayee pyaas se, yaarab !
ik aablaa_paa waadee-e-pur_KHaar meiN aave

mar jaaooN na kyoN rashk se jab woh tan-e-naazuk
aaGHosh-e-KHaam-e-halqa-e-zunnaar meiN aave

GHaarat_gar-e-naamoos na ho gar hawas-e-zar
kyoN shaahid-e-gul baaGH se baazaar meiN aave

tab chaak-e-girebaaN ka maza hai, dil-e-naadaaN
jab ik nafas uljha huaa har taar meiN aave

aatish_kada hai seena mera raaz-e-nihaaN se
de waaye ! agar maa'ariz-e-izhaar meiN aave

gaNjeena-e-maa'anee ka talism usko samajhiye
jo lafz ki 'GHalib' mere ash'aar meiN aave




husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai ...

husn-e-mah, garche ba_haNgaam-e-kamaal achcha hai 
us'se mera mah-e-KHursheed-e-jamaal achcha hai 

bosa dete naheeN aur dil pe hai har lahja nigaah 
jee meiN kehte haiN, muft aaye to maal achcha hai 

aur baazaar se le aaye agar TooT gaya 
saaGHar-e-jam se mera jaam-e-sifaal achcha hai 

be_talab daiN to maza usme siwa milta hai 
woh gada jisko na ho KHoo-e-sawaal achcha hai 

unke dekhe se jo aa jaatee hai muNh par raunaq 
woh samajhte haiN ke beemaar ka haal achcha hai

dekhiye paate haiN ushshaaq butoN se kya faiz ? 
ik birahaman ne kaha hai, ke yeh saal achcha hai 

ham_suKHan teshe ne farhaad ko sheereeN se kiya 
jis tarah ka bhee kisee meiN ho kamaal achcha hai 

qatra dariya meiN jo mil jaaye to dariya ho jaaye 
kaam achchaa hai woh, jiska ma'aal achcha hai 

KHijr SultaaN ko rakhe KHaaliq-e-akbar sar_sabz 
shaah ke baaGH meiN yeh taaza nihaal achcha hai 

hamko ma'aloom hai jannat ki haqeeqat lekin 
dil ke KHush rakhne ko, 'GHalib' yeh KHayaal achcha hai




har ek baat pe kehte ho ...

har ek baat pe kehte ho tum ke 'too kya hai' ? 
tumheeN kaho ke yeh andaaz-e-guftgoo kya hai ? 

na shole meiN yeh karishma na barq meiN yeh ada 
koee batao ki woh shoKH-e-tund_KHoo kya hai ? 

yeh rashk hai ki wo hota hai ham_suKHan tumse 
wagarna KHauf-e-bad_aamozi-e-adoo kya hai ? 

chipak raha hai badan par lahoo se pairaahan 
hamaaree jeb ko ab haajat-e-rafoo kya hai ? 

jalaa hai jicm jahaaN dil bhee jal gaya hoga 
kuredate ho jo ab raakh, justjoo kya hai ? 

ragoN meiN dauDte firne ke ham naheeN qaayal 
jab aaNkh hee se na Tapka to fir lahoo kya hai ?

woh cheez jiske liye hamko ho bahisht azeez 
siwaay baada-e-gul_faam-e-mushkaboo kya hai ? 

piyooN sharaab agar KHum bhee dekh looN do chaar 
yeh sheesha-o-qadah-o-kooza-o-suboo kya hai ? 

rahee na taaqat-e-guftaar, aur agar ho bhee 
to kis ummeed pe kahiye ke aarzoo kya hai ? 

bana hai shaah ka musaahib, fire hai itaraata 
wagarna shehar meiN 'GHalib' kee aabroo kya hai ?



Ghair lein mehfil ...

GHair leiN mehfil meiN bose jaam ke
ham rahaiN yooN tishna_lab paiGHaam ke

KHastagee ka tumse kya shikwa ki ye
hathkanDe haiN charKH-e-neelee_faam ke

KHat likhenge garche matlab kuchch na ho
ham to aashiq haiN tumhaare naam ke

raat pee zamzam pe mai aur subh_dam
dhoye dhab'be jaam-e-'eharaam ke

dil ko aaNkhoN ne fasaaya kya magar
ye bhee halqe haiN tumhaare daam ke

shaah ke haiN GHusl-e-sehat ko KHabar
dekhiye kab din fireiN hammaam ke

ishq ne 'GHalib' nikamma kar diya
warna ham bhee aadmee the; kaam ke




fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya ...

fir mujhe deeda-e-tar yaad aaya 
dil jigar tashna-e-fariyaad aaya 

dam liya tha na qayaamat ne hanoz 
fir tera waqt-e-safar yaad aaya 

saadgee haay tamanna, yaanee 
fir wo nai_rang-e-nazar yaad aaya 

uzr-e-waamaaNdagee 'ei hasarat-e-dil 
naala karta tha jigar yaad aaya 

zindgee yoN bhee guzar hi jaatee 
kyoN tera raahguzar yaad aaya ?

kya hee rizwaaN se laDaayee hogee 
ghar tera KHuld meiN gar yaad aaya 

aah woh jurat-e-fariyaad kahaaN 
dil se tang aake jigar yaad aaya 

fir tere kooche ko jaata hai KHayaal 
dil-e-gumgashta magar yaad aaya 

koee weeraanee-see-weeraanee hai 
dasht ko dekh ke ghar yaad aaya 

maiNne majnooN pe laDakpan meiN 'Asad' 
sang uTHaaya tha ki sar yaad aaya




diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye

diyaa hai dil agar usko, bashar hai kya kahiye ?
huwa raqeeb to ho, naamaabar hai, kya kahiye ?

yeh zid, ki aaj na aave aur aaye bin na rahe
qaza se shikwa hamaiN kis qadar hai kya kahiye ?

rahe haiN yoN gah-o-be_gah ki koo-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai, kya kahiye ?

zah-e-karishma ki yoN de rakhaa hai hamko fareb
ki bin kahe hee unhaiN sab KHabar hai, kya kahiye?

samajh ke karte haiN baazaar meiN woh pursish-e-haal
ki yeh kahe ki sar-e-rehguzar hai, kya kahiye ?

tumhaiN naheeN hai sar-e-rishtaa-e-wafa ka KHayaal
hamaare haath meiN kuchch hai, magar hai kya, kahiye ?

unhaiN sawaal pe zoam-e-junooN hai, kyoN laDiye ?
hame jawaab se qata'a-e-nazar hai, kya kahiye ?

hasad sazaa-e-kamaal-e-suKHan hai, kya keeje
sitam, bahaa-e-mata'a-e-hunar hai, kya kahiye ?

kaha hai kisne ki 'GHalib' buraa naheeN lekin
siwaay iske ki aashuftaa_sar hai kya kahiye?




dil se teree nigaah jigar tak utar gayee...

dil se teree nigaah jigar tak utar gayee 
donoN ko ik adaa meiN razaamand kar gayee. 

shaq ho gaya hai seena, KHushee lazzat-e-firaaq
takleef-e-pardaadaari-e-zaKHm-e-jigar gayee 

woh baada-e-shabaana kee sar mastiyaaN kahaaN ? 
uThiye bas ab ki lazzat-e-KHwaab-e-sahar gayee 

uDtee fire hai KHaak meree koo-e-yaar se 
baare ab 'ei hawa, hawas-e- baal-o-par gayee 

dekhooN to dil_farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa 
mauj-e-KHiraam-e-yaar bhee kya gul katar gayee

har bulhawas ne husn_parastee shiaar kee 
ab aabru-e-sheva-e-'ehl-e-nazar gayee 

nazzaare ne bhee kaam kiya waaN naqaab ka 
mastee se har nigaah tere ruKH par bikhar gayee 

farda-o-dee ka tafarqa yak baar mit gaya 
kal tum gaye ke ham pe qayaamat guzar gayee 

maara zamaane ne 'Asadullah KHaaN' tumhe 
woh walwale kahaaN, woh jawaanee kidhar gayee ?




baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage ....

baazeechaa-e-atfaal hai duniya mere aage
hota hai shab-o-roz tamaasha mere aage

ik khel hai auraNg-e-sulemaaN mere nazdeek
ik baat hai 'eijaz-e-maseeha mere aage

juz naam naheeN soorat-e-aalam mujhe manzoor
juz waham naheeN hastee-e-ashiya mere aage

hota hai nihaaN gard meiN sehara mere hote
ghisata hai jabeeN KHaak pe dariya mere aage

mat pooch ke kya haal hai mera tere peeche ?
too dekh ke kya rang tera mere aage

sach kahte ho, KHudbeen-o-KHud_aaraa na kyoN hooN ?
baiTha hai but-e-aainaa_seemaa mere aage

fir dekhiye andaaz-e-gul_afshaani-e-guftaar
rakh de koee paimaanaa-o-sahba mere aage

nafrat ka gumaaN guzare hai, maiN rashk se guzaraa
kyoN kar kahooN, lo naam na uska mere aage

imaaN mujhe roke hai jo khiNche hai mujhe kufr
ka'aba mere peeche hai kaleesa mere aage

aashiq hooN, pe maashooq_farebee hai mera kaam
majnooN ko bura kehti hai laila mere aage

KHush hote haiN par wasl meiN yoN mar naheeN jaate
aayee shab-e-hijaraaN ki tamanna mere aage

hai mauj_zan ik qulzum-e-KHooN, kaash, yahee ho
aata hai abhee dekhiye kya-kya mere aage

go haath ko jumbish naheeN aaNhoN meiN to dam hai
rehne do abhee saaGHar-o-meena mere aage

ham_pesha-o-ham_masharb-o-ham_raaz hai mera
'GHalib' ko bura kyoN kaho achchaa mere aage !




rone se aur ishq meiN be_baak ho gaye...

Rone se aur ishq meiN be_baak ho gaye 
dhoye gaye ham 'eise ki bas paak ho gaye 

sarf-e-baha-e-mai hue aalaat-e-maikashee 
the; ye hee do hisaab, so yoN paak ho gaye 

ruswa-e-dahar go hue aawaargee se tum 
baare tabeeyatoN ke to chaalaak ho gaye 

kehta hai kaun naala-e-bulbul ko be_asar 
parde meiN gul ke laakh jigar chaak ho gaye 

pooche hai kya wujood-o-adam 'ehl-e-shauq ka 
aap apnee aag se KHas-o-KHaashaak ho gaye 

karne gaye the; usse taGHaaful ka ham gila 
kee ek hee nigaah ki bas KHaak ho gaye 

is DHang se uTHaayee kal usne 'Asad' ki laash 
dushman bhee jisko dekhke GHamnaak ho gaye




jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ?

jaur se baaz aaye par baaz aayaiN kya ? 
kehte haiN, ham tumko muNh dikhlayaiN kya ? 

raat din gardish meiN haiN saat aasmaaN 
ho rahega kuchch-na-kuchch ghabraayaiN kya ? 

laag ho to usko ham samjaiN lagaav 
jab na ho kuchch bhee, to dhoka khayaiN kya ? 

ho liye kyoN naamaabar ke saath-saath ? 
yaarab ! apne KHat ko ham pahooNchaayaiN kya ? 

mauj-e-KHooN sar se guzar hee kyoN na jaaye 
aastaan-e-yaar se uTh jaayaiN kya ? 

umr bhar dekha kiye marne kee raah 
mar gaye par dekhiye dikhlaayaiN kya?

poochchte haiN woh ki 'GHalib' kaun hai ? 
koee batlao ki ham batlaayaiN kya ?



kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ?

kisee ko de ke dil koee nawaa_sanj-e-fuGHaaN kyoN ho ?
na ho jab dil hee seene meiN to fir muNh meiN zubaaN kyoN ho ?

woh apnee KHoo na choDenge, ham apnee waz'a kyoN badleiN ?
subak_sar banke kya poocheiN ki ham se sar_giraaN kyoN ho ?

kiya GHam_KHwaar ne ruswa, lage aag is muhabbat ko
na laaye taab jo GHam ki, woh mera raazdaaN kyoN ho ?

wafa kaisee ? kahaaN ka ishq ? jab sar phoDna THehra
to fir 'ei sang_dil tera hee sang-e-aastaaN kyoN ho ?

qafas meiN mujh se roodaad-e-chaman kehte na Dar hamdam
giree hai jis pe kal bijlee woh mera aashiyaaN kyoN ho ?

ye kah sakte ho "ham dil meiN naheeN haiN" par ye batlaao
ki jab dil meiN tumhee-tum ho to aaNkho se nihaaN kyoN ho ?

GHalat hai jazba-e-dil ka shikwa, dekho juRm kiska hai
na khiNcho gar tum apne ko kashaakash darmiyaaN kyoN ho ?

ye fitna aadmee ki KHaana_weeraanee ko kya kam hai ?
hue tum dost jiske, dushman uska aasmaaN kyoN ho ?

yahee hai aazmaana to sataana kis ko kehte haiN ?
`adoo ke ho liye jab tum to mera imtihaaN kyoN ho ?

kaha tumne ki "kyoN ho GHair ke milne meiN ruswaaee ?"
baja kehte ho, sach kehte ho, fir kahiyo ki "haaN kyoN ho ?"

nikaala chaahata hai kaam kya taa'anoN se too 'GHalib'
tere be_mehar kehne se wo tujh par meharabaaN kyoN ho ?





kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse .....

kabhee nekee bhee uske jee meiN gar aa jaaye hai mujhse 
jafaayeN karke apnee yaad sharma jaaye hai mujhse 

KHudaaya ! jazbaa-e-dil kee magar taaseer ulTee hai 
ki jitna khiNtchataa hooN aur khiNtchtaa jaaye hai mujhse 

woh bad_KHoo aur meree daastan-e-ishq tulaanee 
ibaarat muKHtasar, qaasid bhee ghabra jaaye hai mujhse 

udhar woh bad_GHumaanee hai, idhar yeh naatavaanee hai 
na poocha jaaye hai us'se, na bola jaaye hai mujhse 

sambhalne de mujhe 'ei na_ummidee kya qayaamat hai 
ki daamaan-e-KHayaal-e-yaar chooTa jaaye hai mujhse

takalluf bartaraf nazzaaragee meiN bhee sahi, lekin 
woh dekha jaaye, kab ye zulm dekha jaaye hai mujhse 

hue haiN paaNv hee pehle nabard-e-ishq meiN 
na bhaaga jaaye hai mujhse, na Thehra jaaye hai mujhse 

qayaamat hai ke howe muddaee ka ham_safar 'GHalib' 
woh kaafir, jo KHuda ko bhee na sauNpa jaaye hai mujhse








shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa.......

shauq har rang raqeeb-e-sar-o-saamaaN niklaa 
qais tasveer ke parde meiN bhee uriyaaN niklaa.

zaKHm ne daad na dee, tangee-e-dil ki yaarab ! 
teer bhee seena-e-bismil se par_afshaaN niklaa.

boo-e-gul, naala-e-dil, dood-e-charaaGH-e-mehfil
jo teree bazm se nikla, so parishaaN niklaa 

thee nau_aamoz_fana'a himmat-e-dushwaar_pasand 
saKHt mushkil hai ki yah kaam bhee aasaaN nikla 

dil meiN fir giryaaN ne ik shor uThaaya 'GHalib' 
aah jo qatra na nikla tha, so toofaaN nikla.






Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile.....

Taskin ko ham na roen jo zauq-e-nazr mile
Huraan-e-khuld mein teri surat magar mile.

Apni gali mein mujhko na kar dafan baad-e-qatal
Mere pate se khalaq ko kyon tera ghar mile. 

Saqi gari ki sharm karo aaj warna ham
Har shab piya hi karte hain, mai jis qadar mile. 

Tujh se to kuchh kalaam nahin lekin ai nadim.
Mera salaam kaheyo agar naama bar mile. 

Tum ko bhi ham dikhaenge Majnun ne kya kiya
Fursat kashaakash-e-gham-e-pinhaan se gar mile. 

Laazim nahin ke khizar ki ham pairwi karen
Maana ke ek bazurg hamen ham safar mile. 

Ai saaknaan-e-kucha-e-dildaar dekhna
Tum ko kahin jo Ghalib-e-aashufta sar mile






Na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota......

Na tha kuch to Khuda tha, kuch na hota to Khuda hota
Duboyaa mujh ko hone ne, na hotaa main to kyaa hotaa

huaa jab Gam se yuu.N behis to Gam kyaa sar ke kaTane kaa
na hotaa gar judaa tan se to zaa.Nno.n par dharaa hotaa

Huii muddat ke 'Ghalib' mar gayaa par yaad aataa hai
wo har ek baat pe kehnaa ke yuuN hotaa to kyaa hotaa








arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii.n rahaa......

arz-e-niyaaz-e-ishq ke qaabil nahii.n rahaa
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa

jaataa huu.N daaG-e-hasarat-e-hastii liye hue
huu.N shammaa-e-kushtaa daraKhur-e-mahafil nahii.n rahaa

marane kii ai dil aur hii tadabiir kar ki mai.n 
shaayaan-e-dast-o-baazuu-e-qaatil nahii.n rahaa

ba-ruu-e-shash jihat dar-e-aa_iinaabaaz hai
yaa.N imtiaaz-e-naakis-o-qaamil nahii.n rahaaa

vaa kar diye hai.n shauq ne band-e-naqaab-e-husn
Gair az nigaah ab ko_ii haa_il nahii.n rahaa

go mai.n rahaa rahiin-e-sitam haaye rozagaar 
lekin tere Khayaal se Gaafil nahii.n rahaa 

dil se havaa-e-kisht-e-vafaa miT ke vaa.N
haasil sivaaye hasrat-e-haasil nahii.n rahaa 

bedaad-e-ishq se nahii.n Darata magar 'Asad' 
jis dil pe naaz thaa mujhe vo dil nahii.n rahaa






hai bas ki har ik unake ishaare me.n nishaa.N aur........

hai bas ki har ik unake ishaare me.n nishaa.N aur
karate hai.n muhabbat to guzarataa hai gumaa.N aur

yaa rab vo na samajhe hai.n na samajhe.nge merii baat
de aur dil unako jo na de mujhako zubaa.N aur

abaruu se hai kyaa us nigaah -e-naaz ko paiba.nd
hai tiir muqarrar magar usakii hai kamaa.N aur 

tum shahar me.n ho to hame.n kyaa Gam jab uThe.nge 
le aaye.nge baazaar se jaakar dil-o-jaa.N aur

har cha.nd subuk_dast hue but_shikanii me.n 
ham hai.n to abhii raah me.n hai sang-e-giraa.N aur

hai Khuun-e-jigar josh me.n dil khol ke rotaa 
hote kaii jo diidaa-e-Khuu.Nnaaba_fishaa.N aur

marataa huu.N is aavaaz pe har cha.nd sar u.D jaaye
jallaad ko lekin vo kahe jaaye ki haa.N aur

logo.n ko hai Khurshiid-e-jahaa.N taab kaa dhokaa
har roz dikhaataa huu.N mai.n ik daaG-e-nihaa.N aur

letaa na agar dil tumhe.n detaa koii dam chain
karataa jo na marataa koii din aah-o-fuGaa.N aur

paate nahii.n jab raah to cha.D jaate hai.n naale 
rukatii hai merii tabaa to hotii hai ravaa.N aur hai.n aur 

bhii duniyaa me.n suKhanavar bahut achchhe 
kahate hai.n ki 'Ghalib' kaa hai a.ndaaz-e-bayaa.N aur








dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai .......

dekhna qismat ki aap apne pe rashk aajaaye hai 
maiN use; dekhooN, bhalaa kab mujhse dekha jaaye hai 

haath dho dil se yahee garmee gar andeshe meiN hai 
aabgeena tundee-e-sahbaa se pighla jaaye hai 

GHair ko yaarab ! woh kyoNkar mana'a-e-gustaaKHee kare ? 
gar haya bhee usko aatee hai to sharma jaaye hai 

shauq ko ye lat ke hardam naala KheeNche jaayiye 
dil ki woh haalat ki dam lene se ghabra jaaye hai 

door chashm-e-bad ! teree bazm-e-tarab se waah-waah 
naGHma ho jaata hai waaN gar naala mera jaaye hai 

GHarche hai tarz-e-taGHaaful, pardaadaar-e-raaz-e-ishq 
par ham 'eise khoye jaate haiN ki woh paa jaaye hai 

uskee bazm_aaraaiyaaN sunkar dil-e-raNjoor yaaN 
misl-e-naqsh-e-muddaa-e-GHair baiTHa jaaye hai 

hoke aashiq woh paree_ruKH aur naazuk ban gaya 
rang khulta jaaye hai, jitna ki uData jaaye hai 

naqsh ko uske musawwir par bhee kya-kya naaz hai 
kheeNchta hai jis qadar, utana hee khiNchta jaaye hai 

saaya meraa mujhse misl-e-dood bhaage hai 'Asad' 
paas mujh aatish_bazaaN ke kisse Thahra jaaye hai






ibn-e-mariyam huwa kare koee........

ibn-e-mariyam huwa kare koee
mere dukh kee dawa kare koee 

shar'a-o-aaeen par madaar sahee 
'eise qaatil ka kya kare koee ? 

chaal, jaise kaDee kamaaN ka teer 
dil meiN 'eise ke jaa kare koee 

baat par waaN zubaan kaT_tee hai 
woh kahaiN aur suna kare koee 

bak rahaa hooN junooN meiN kya kya kuchch 
kuchch na samjhe KHuda kare koee 

na suno gar bura kahe koee 
na kaho gar bura kare koee 

rok lo, gar GHalat chale koee 
baKHsh do gar KHata kare koee 

kaun hai jo naheeN hai haajat_mand ? 
kiskee haajat rawa kare koee 

kya kiyaa KHijr ne sikandar se 
ab kise rehnuma kare koee ? 

jab tavaqqo hee uTh gayee 'GHalib' 
kyoN kisee ka gila kare koee ?

1 comment:

  1. Ghalib's Dil hi toh hai na sang o khisht, all 9 couplets, rendered by me. Hope you like it.
    https://www.youtube.com/watch?v=uMr2dEKDsEc

    ReplyDelete