Wednesday, May 12, 2010
Daag- Dehlvi sahab ki kuch ghazleN
afat ki shokhiyan hain tumhari nigah main
mehshar k fitne khelte hain jalwa-gah main
wo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shad hun k hun to kisi ki nigah main
ati bat bat mujhe yad bar bar
kahata hun daur daur k qasid se rah main
is taubah par hai naz mujhe zahid is qadar
jo tut kar sharik hun hal-e-tabah main
mushtaq is ada k bahot dard-mand the
ae Dag tum to baith gaye ek ah main
_______________-
arazu hai vafa kare koi
ji na chahe to kya kare koi
gar marz ho dava kare koi
marne vale ka kya kare koi
koste hain jale hue kya kya
apne haq main dua kare koi
un se sab apni apni kahte hain
mera matalab ada kare koi
tum sarapa ho surat-e-tasvir
tum se phir bat kya kare koi
jis main lakhon baras ki huren hon
aisi jannat ko kya kare koi
________
ajab apna hal hota jo visal-e-yar hota
kabhi jan sadqe hoti kabhi dil nisar hota
na maza hai dushmani main na hai lutf dosti main
koi gair gair hota koi yar yar hota
ye maza tha dillagi ka k barabar ag lagti
na tumhen qarar hota na hamain qarar hota
tere wade par sitamagar abhi aur sabr karte
agar apni zindagi ka hamain aitabar hota
__________
butan-e-mahvash ujri hui manzil main rahte hain
k jis ki jan jati hai usi k dil main rahte hain
hazaron hasraten vo hain k rok se nahin ruktin
bahot arman aise hain k dil k dil main rahte hain
Khuda rakhe muhabbat k liye abad donon ghar
main un k dil main rahta hun vo mere dil main rahte hain
zamin par panv nakhvat se nahin rakhte pari-paikar
ye goya is makan ki dusari manzil main rahte hain
koi nam-o-nishan puche to ai qasid bata dena
takhallus "Dag" hai aur ashiqon k dil main rahte hain
___________
darte hain chashm-o-zulf, nigah-o-ada se ham
har dam panah mangte hain har bala se ham
mashuq jaye hur mile, may bajaye ab
mahshar main do saval karenge Khuda se ham
go hal-e-dil chupate hain par is ko kya karen
ate hain khud khud nazar ik mubtala se ham
dekhen to pahle kaun mite uski rah main
baithe hain shart bandh k har naqsh-e-pa se ham
______________
dil ko kya ho gaya Khuda jane
kyon hai aisa udas kya jane
kah diya main ne hal-e-dil apna
is ko tum jano ya Khuda jane
jante jante hi janega
mujh main kya hai abhi wo kya jane
tum na paoge sada dil mujh sa
jo tagaful ko bhoi haya jane
___________
gam se kahin najat mile chain payen ham
dil khun main nahae to ganga nahayen ham
jannat main jayen ham k jahannum main jayen ham
mil jae tu kahin na kahin tujh ko payen ham
mumkin hai ye k vade pe apne vo a bhi jae
mushkil ye hai k ap main us vaqt ayen ham
naraz ho Khuda to karen bandagi se khush
mashuq ruth jae to kyon kar manayen ham
sar doston k kat kar rakhe hain samane
gairon se puchte hain qasam kis ki khayen ham
saunpa tumhen Khuda ko chale ham to namurad
kuch parh k bakhshna jo kabhi yad ayen ham
ye jan tum na loge agar ap jayegi
is bevafa ki khair kahan tak manayen ham
ham-saye jagate rahe nalon se rat bhar
soye huye nasib ko kyon kar jagayen ham
tu bhulane ki chiz nahin khub yad rakh
ai "Dag" kis tarah tujhe dil se bhulayen ham
_______________
s ada se vo vafa karte hain
koi jane k vafa karte hain
hamko choroge to pachtaoge
hansana valon se hansa karte hain
ye batata nahin koi mujhko
dil jo a jaye to kya karte hain
husn ka haq nahin rahta baqi
har ada main vo ada karte hain
kis qadar hain teri ankhen bebak
in se fitne bhi haya karte hain
is liye dil ko laga rakha hai
is main dil ko laga rakha hai
"Dag" tu dekh to kya hota hai
jabr par jabr kiya karte hain
___________________
kabe ki hai havas kabhi ku-e-butan ki hai
mujh ko khabar nahin meri mitti kahan ki hai
kuch tazgi ho lazzat-e-azar k liye
har dam mujhe talash naye asman ki hai
hasrat baras rahi hai mere mazar se
kahte hain sab ye qabr kisi naujavan ki hai
qasid ki guftagu se tasalli ho kis tarah
chipti nahin vo jo teri zaban ki hai
sun kar mera fasana-e-gam us ne ye kaha
ho jaye jhut sach, yahi khubi bayan ki hai
kyun kar na ae khuld se adam zamin par
mauzun vahin vo khub hai, jo shay jahan ki hai
urdu hai jiska nam hamin jante hain Dag
hindustan main dhum hamari zaban ki hai
_____
kahan the rat ko hamse zara nigah mile
talash main ho k jhutha koi gavah mile
ye hai maze ki larai, ye hai maze ka milap
ki tujhse ankh lari ???????????????????????
tera gurur samaya hai is qadar dil main
nigah bhi na milaun to badashah mile
masal-sal ye hai k milane se kaun milta hai
milo to ankh mile, mile to nigah mile
________________
muhabbat main kare kya kuch kisi se ho nahin sakta
mera marna bhi to meri khushi se ho nahin sakta
na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqe ka
pareshani main koi kam ji se ho nahin sakta
Khuda jab dost hai ai "Dag" kya dushman se andesha
hamara kuch kisi ki dushmani se ho nahin sakta
______________
na jao hal-e-dil-e-zar dekhte jao
k ji na chahe to na char dekhte jao
bahar-e-umr main bag-e-jahan k sair karo
khila hua hai ye gulzar dekhte jao
utho ankh na sharmao ye to mahfil hai
gazab se janib-e-agayar dekhte jao
hua hai kya abhi hangama abhi kuch hoga
fugan main hashr k asar dekhte jao
tumhari ankh mere dil se besabab-bevajah
hui hai larane ko tayyar dekhte jao
na jao band kye ankh raharavan-e-adam
idhar-udhar bhi khabaradar dekhte jao
koi na koi har ik sher main hai bat zarur
janab-e-"Dag" k ashar dekhte jao
__________________
na jao hal-e-dil-e-zar dekhte jao
k ji na chahe to na char dekhte jao
bahar-e-umr main bag-e-jahan k sair karo
khila hua hai ye gulzar dekhte jao
utho ankh na sharmao ye to mahfil hai
gazab se janib-e-agayar dekhte jao
hua hai kya abhi hangama abhi kuch hoga
fugan main hashr k asar dekhte jao
tumhari ankh mere dil se besabab-bevajah
hui hai larane ko tayyar dekhte jao
na jao band kye ankh raharavan-e-adam
idhar-udhar bhi khabaradar dekhte jao
koi na koi har ik sher main hai bat zarur
janab-e-"Dag" k ashar dekhte jao
__________
na rava kahiye na saza kahiye
kahiye kahiye mujhe bura kahiye
dil main rakhne ki bat hai gam-e-ishq
is ko hargiz na barmala kahiye
vo mujhe qatl kar k kahte hain
manta hi na tha ye kya kahiye
a gai ap ko masihai
marne valo ko marhaba kahiye
hosh urane lage raqibon k
"Dag" ko aur bevafa kahiye
__________
parde parde main atab ache nahin
aise andaz-e-hijab ache nahin
maykade main ho gaye chup-chap kyon
aj kuch mast-e-sharab ache nahin
ai falak kya hai zamane ki bisat
dam-ba-dam k inqalab ache nahin
bazm-e-vaiz be-sharan ache nahin
aise jalase be-sharab ache nahin
tauba kar len ham may-o-mashuq se
be-maza hain ye savab ache nahin
ik najumi "Dag" se kahta tha aj
ap k din ai janab ache nahin
_________
phir shab-e-gam ne mujhe shakl dikhai kyon kar
ye bala ghar se nikli hui ai kyon kar
tu ne ki gair se meri burai kyon kar
gar na thi dil main to lab par tere ai kyon kar
tum dilazar-o-sitamgar nahin main ne mana
man jayegi ise sari khudai kyon kar
aina dekh k vo kahne lage ap hi ap
aise achon ki kare koi burai kyon kar
kasrat-e-ranj-o-alam sun k ye ilzam mila
itne se dil main hai itnon ki samai kyon kar
dag kal tak to dua ap ki maqbul na thi
aj munh mangi murad ap ne pai kyon kar
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment