Meer Taqi Meer Mir's famous contemporary, also an Urdu poet of no inconsiderable repute, was Mirza Rafi Sauda. Mir Taqi Mir was often compared with the later day Urdu poet, Mirza Ghalib. Lovers of Urdu poetry often debate Mir's supremacy over Ghalib or vice versa. It may be noted that Ghalib himself acknowledged, through some of his couplets, that Mir was indeed a genius that deserved respect. Here are two couplets by Mirza Ghalib on this matter.
“ Reekhta kay tumhi ustaad nahi ho Ghalib
Kehtay hain aglay zamanay may koi Meer bhi thaa
You are not the only master of Urdu, Ghalib
They say there used to be a Mir in the past
”
—Mirza Ghalib
“ Ghalib apna yeh aqeeda hai baqaul e Nasikh
Aap bey bahrah hai jo muataqid e Mir nahi
Ghalib! Its my belief in the words of Nasikh,
"He that vows not on Mir, is himself unlearned!"
”
—Mirza GhalibAashufta ~*~
~ Rekhta Ke Tumhin Ustad Nahin Ho GHALIB !
~ Kehte Hain Agle Zamane Main Koi MEER Bhi Tha !
Mastoor Sher Nihayat Maqbool Hain Ama Is Se Ek Baat Zaroor Nikalti Hai Wo Ye Ke Agarche Ghalib Ne MEER Ko Tasleem Kiya Magar MEER Ko Apna Ustad Nahin Mana, Ghour Talab Hai Ke MEER Ko Agle Dour Main Har Sukhan Aashna Apna Ustad Jaan Gaya.
" Kehte Hain Agle Zamane Main Koi MEER Bhi Tha"
Ye Misra MEER Ke Mureedin Ko Khush Nahin Aata .
Isse Behtar Wsaa Shaikh Muhammad Ibrahim ZAUQ Ne Wzaa Ki Hai ...
~ Na Hua Par Na Hua MEER Ka Andaaz Naseeb !
~ ZAUQ ! Yaron Ne Bahut Zor Ghazal Main Mara !
~*~Khurram Azeezaan--e-Mohtram!
Majlis-e-aaliya mein shamooliyat ki ijaazat k sath salam-e-aqeedat...
Main choonkey Hazrat Mirza Asadullah Khan Ghalib ka ik mureed-e-adna hoon aur apni danist mein Murshid ka sab se bara aashiq bhi so meri agar koi baat Hazart-e-Meer k chahney walon ko naa gawar guzrey to peshgi mazrat!
Asl mein Ghalib ko Ghalib banaya hi un k is intiha darjey ki khud pasandi ne hai k wo apne aagey, apne tayee'n kisi ko bhi khatir mein na laatey they hatta k Meer jese Khuda-e-Sukhan ki takreem to baja tor pe farmatey they magar unhein ya kisi ko bhi apna ustad na gardantey they k jo qudrat-e-haq ki janib se azeem-ushaan hunar unhein wadiyat kiya gaya wo unhein bazat-e-khud aaney wali har nasl ka Ustaad bananey wala tha aur Murshid is bat se bakhubi aagah bhi they so yahan bhi wo zara jurrat se kaam letey huay halka phulka sa tanz farma rahey hain. Taahum is ka qatai ye matlab nahi k Ghalib, Meer ki azmat k qaail nahi, unhon ne kei jaga un ki ustadi aur baraai ka aitraf kiya hatta k aisa zabardast shair bhi kaha:
Meer k shair ka ehwaal kia likhoon Ghalib
Jis ka deewan kam az Gulshan-e-Kashmir nahiAashufta ~*~
Qibla Khurram Ansari Ke T'aatuf Par Unka Mamnoon Hoon. Mureed-e-Dana Ki T'aaleel Ko Memmood Kiya Chahiye. Awwal, Huzoor Ko Aadab. Mastoor Sher Ko Tanz Ke Waziye Se Dekhne Par Khak-e-Nacheez Aap Se Yagangat Rakhta Hai. Ama Rahi Baat Ananiyat Ki To Mirza Asad Ki Jis T'baa-e-Yakta Ka Hawala Huzoor Ne Diya, Ayein Wahi Khuda-e-Sukhan Ki Goonagoon Kaifiyat Ka Ek Juz Rahi Hai. Qabil-e-Ghour Baat Ye Hai Ke GHALIB Ki San'at Ko Jis Siyasi Dour Main Farogh Hua In MEER Bhi Usi Dour Main Hote To Ye Sawal Na Rehta Ke " Ustad Koun ? " . Mirza Asad Dooor Andesh Shayar Hue, Lihaza Aap Ne Apne Kalam Ki Takhfeef Kar Bemisal Zahanat Ka Muzahir Kiya, Anjam Murshid Ke Dilkhaah Raha, Dour-e-Hazir Ka Aaqil Ho Ya Ahmaq, Tamam Mirza Ke Ghair Matbooai Kalam Ki Tehqeeq Main Lage Hain. Wahin Kulliyat-e-Meer Main Darj 2000 Ghazaliyat Ka Ba Zabta Intkhab Ho To Deewan-e-Ghalib Se Bees Ki Baat Ho.
Alqissa ...
تذکرے سب کے پھر رہيں گے دھرے
جب ميرا انتخاب نکلے گا
مير تقى مير -
Sad Haif Ke Taa Haal Ek Sukhan Aasna Meer Ka Intkhab Karne Se Nadarad Hai.
~*~Sabeeh Ap bhi sahi kehte hain hazrat is baat per hasrat mohani ka ik shair yaad aya..
SHAYR MERE BHI HAIN PUR DARD LEKIN HASRAT"
MEER KA SHAWAYE GUFTAAR KAHAN SE LAAOON...
Lekin ik baat tu maani pare gi Khurram bhai & Aashufta Bhai..
Hain Aur Bhi Duniya Mein Sukhanwar Bahut Achay…
Kehatay Hain Ke Ghalib Ka Andaaz-e-Bayan Aur..
is baat se kise ko inkar nai hona chahea.bhale wo Meer ka chahne wala ho ya kise ka bhi...
kiya kehte hain bhai app log...??? : )
Wednesday, May 12, 2010
Meer Taqi v/s Mirza Ghalib
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
Galig sahib and Meer sahib dono hi kudrat ke beshkeemtee nagine hain aur aise sitare hain jo hamesha roshan rahenge. Hum be-wajah bahas mein waqt zaya kar rahe hain k koun kya. Donon ne hi ham sab ko shairee ka lutf baksha hai. Galib waqt ke lihaz se kuch kareeb hain , jyada samajh aate hain. Hamare to haathon mein do do bade bade lazeez laddu de gaye hain . Maze se khao aur khush raho , shairee ka lutf lo. dono mein se koi bhee apni hasiyat ka fikarmand nahi hain to hum kyun bahas mein paden?
ReplyDeletesurdeep singh jaipur
This comment has been removed by the author.
ReplyDeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDelete"Meer" toh bass "Meer" the aur "Meer" sa koii nahii,
ReplyDeleteHaa'n magar "Ghalib" ke jaisa bhii nahii dooja huaa.
-Avtar Singh "Jasser"
Both shayars are equally talented and matured in their different styles of the same poetry form i.e., Ghazal.
But between these both super talented shayars Ghalib saab is my most favourite.
So,we must not argue with each other about both of these shayars...every person has a different taste...so choices are different.