Friday, May 21, 2010

Faraz ke Sher


wo baat baat pay deta hai Parindoun ki misal Faraz
saaf saaf nahi kehta mera sheher hi chor do



Tumhari ek nigah se qatal hotay hain log Faraz,…!
Ek nazar hm ko bhi dekh lo k tm bin zindagy achi nahi lagti



Ab use roz na sochoon to badan toot'ta hai Faraz

Umar guzri hai uss ki yaad ka nasha karte



Aik nafrat hee nahi duniya mein dard ka sabab Faraz…
MOHABBAT bhi sakoon walon ko bari takleef deti hain



Hum apni rooh tere jism mein he chhor aye Faraz….
Tujhy galay se lagana tu ek bahana tha…



Mana k tum Guftago k fun main mahir ho Faraz.
Wafa kay lafz pay atko to humhain yaad kar lena



Zamanay k sawalon ko main huns k taal du faraz,
Lakin nami ankhon ki kehti hai “mujhe tum yaad aate ho”



Apne hi hote hain jo kil pe war karte hain Faraz

warna gheron ko kia khabar dil ki jaga kon si hai



Tor dia tasbee ko is khayal se Faraz

kia gin gin ke nam lena uska jo behisab deta hai



Hum say bichar kay us ka takabbur bikhar gaya faraz
Har ek say mil raha hai bari aajzi k sath




Us shakhs se faqat itna sa taluq hai Faraz
Wo pareshan ho to humain neend nahi aati



Sath roti thi mere saath hansa krti thi
Wo larki jo mere dil mein basa karti thi
Meri chahat ki talabgar thi is darje k
Wo mussalle pe namazon mein dua karti thi
Ek lamhe ka bicharna bhi giran tha usko
Rote hoye mujhko khud se juda karti thi
Mere dil mein raha karti thi dharkan ban kar
Or saye ki tarah saath raha karti thi
Rog dil ko laga bethi anjane mein
Meri aaghosh me marne ki dua karti thi
Baat qismat ki hai FARAZ juda hogaye hum
Warna wo to mujhe taqdir kaha karti thi



ab ussay roz na sochoon to badan toot’ta hai FARAZ
umar guzri hai us ki yaad ka nasha karte



Barbaad karne ke aur bhi raste thay FARAZ
Na jane unhain muhabbat ka hi khayal kyon aaya



Tu bhi to aainey ki tarah bewafa nikla FARAZ
Jo samne aaya usi ka ho gaya



Bach na saka khuda bhi muhabat ke takazon se FARAZ
Ek MEHBOOB ki khatir sara jahan bana dala.



Main ne azad kia apni wafaon se tujhe
Bewafai ki saza mujhko suna di jaye
Maine maangi thi ujale ki faqat ik kiran FARAZ
Tum se yeh kis ne kaha aag laga di jaye



Itni si baat pe dil ki dharkan hi ruk gai FARAZ
Ek pal jo tasawar kia tere bina jeene ka



Is tarah ghor se mat dekh mera haath ae faraz
In lakeron main hasraton ke siwa kuch bhi nahi



Usne mujhe chor dia to kia hua FARAZ
Maine bhi to chora tha sara zamana us ke liye





Ye mumkin nhi k sub log hi badal jaty hn
Kuch halat k sancho mn bhi dhal jaty hn
Khali hathon ko kbhi ghor se dekha ha Fraz!
Kis tarh log Lkeron se nikl jaty hn



Wo Roz Dekhta hai Doobte huey Suraj ko Faraz,
Kash Main bhi kisi Shaam ka Manzar hota. . .



Kon deta hai umar bhar ka sahara FARAZ
Log to JANAZEY men bhi KANDHEY badaltey rehty hen.



~~Meri Khushi k lamhe Mukhtasir hein is kadar FaRaz...... !
~~Guzar jate hein Mere Muskrane Se pehle...... !



Chalta tha kabi hath mera tham k jis par
Karta hy bohat yad wo rasta usy kehna
Umeed wo rakhy na ksi aur se "FARAZ"
Hr shakhs muhabat nahi krta usay kehna...



Wo Barish Main Koi Sahara Dhondta Hai Faraz. . .
A Badal Aj Itna Baras Ke Meri Bahon Ko Woh Apna Sahara Bana Leé ;->



~~Gila karain tou keisay karain"Faraz"...
~~Wo laataluq sahi,Magar intikhaab to mera hai.



"Ye Wafa Un Dinoon Ki Baat Hai Faraz...
Jab Log Sachy Aur Makaan Kachy Huwa Karty Thay"..



Dewar kya giri maray kuchy makan ke "FRAZ"
Logo na maray ghar sa Rastay bana lea.......



Kabhi toota nahin meray dil se aapki yaad ka tilism........ "FARAZ"
Guftago jis se bhi ho khayal aapka rehta hay..........





Fursat mile tu kabhi 'HUMEIN' b "YAAD" kar lena FARAZ
Bari PUR RONAQ hoti hain "YAADEIN" 'HUM' "FAQIRON" ki.



Dosti Apni B Asar Rakhti Hai "Faraz"...
Bohat Yaad Aaien Gey Zara Bhool Ker Tu Dekho...



Gham ke sanjok ache lagte hai,
Mujhe umar bhar ke rog ache lagte hain
Na kar mujh se wafa ki baatain ay FARAZ
Mujhe bewafa log ache lagte hain



Muhabbat mein main ne kia kuch nahi luta dia FARAZ
Us ko pasand thi roshni, aur main ne khud ko jala dia



Us shakhs se wabasta khush fehmi ka ye alam hai FARAZ
Mout ki hichki aai to main smjha, us ne yaad kia



Kabi himat to kabi hosly sy har gaye,
Hum badnaseb thy jo hr kisi sy har gaye
Ajeb khel ka medan hai ye dunya Faraz,
K jisko jeet chuky usi sy har gaye



Chahane wale muquadar se mila karte hain faraz. . .
Uss ne is baat ko tasleem kia mere janay k baad.



Wo bazahir to mila tha ek lamhey ko ''FARAZ"
Umar sari chahiey us ko bhulany k liye!



Waqt-e-naza hai, is kash'ma'kash main hoon k jaan kis ko doon FARAZ...
Wo bhi aaye baithay hein aur maut bhi aai baithi hai...



",,,,Ek pal jo tujhe bhoolne ko sochta hun,, ~~~FARAZ~~~
Meri sansen meri taqdir se ulajh jati hain,,,,




Maana k tum guftgu k mahir ho Faraz,
Wafa k lafz py atko to hamain yad kr lena.



"Sawab samajh kr "wo dil k Tukray karta hai"FARAZ"
Gunnah samajh kr hum un se gila nahi KARTAY.



Mohabbat k andaz juda hotay hain FARAZ
Kisi nay toot k chaha, ore koi chah k toot gaya.



Mosam ka eitbar zyada nahi kiya,
So us ne hum se pyar zyada nahi kiya,
Kuch to ~FARAZ~ hum ne palatne main der ki,
Kuch us ne intezar zyada nahi kiya...!i!



Har adawat pe muhabat ko saja kar milna
Rasm e dunia hai haqeeqat ko chupa kar milna
Jus ka kirdar hai sitaron ki tarah roshan
Kitna dushwar hai us shakhs ko ja kar milna
Tum muhabbat ko bhi fareb samajhte ho FARAZ

Uski ada hai nigahon ko jhuka kar milna


Mana k bura hun magar itna bhi nahi
Kuch nazron se gira hun magar itna bhi nahi
Koi koshish to kare mujhe sametne ki
Main toot k bikhta hun magar itna bhi nahi
Kon kehta hai main waqif nahi adab e muhabbat se FARAZ
Han thora pagal hun magar itna bhi nahi



main udaas rasta hun sham ka
mujhe aahton ki talash hai
ye sitare hain sab bujhe bujhe
mujhe jugnuon ki talash hai
har khushi hai mujhse khafa khafa
mujhe zindagi ki talash hai
meri pyas main ab wo talab nahi
mujhe tishnagi ki talash hai
ek hujoom sa hai rawaan FARAZ
mujhe dostonki talash hai



Us k honton ki izzat ka khyal aata hai Faraz,
Wrna phoolon ko to hum ser-e-aam choom letey hain...



Main Doob ke Ubhra To Buss Itna Hi Dekha"FARAZ"
Auron ki Tarha Tu Bhi Kinare Pe khara Thaa.......



Wo ye samajhta hy k main her chahray ka talabgar hon
"FaRaZ"
main dekhta sabhi ko hon bs USKI talash main.




Aankhon Men Haya Ho To Parda Dil Ka Hi Kaafi He "F@rAz"
Nahi to Naqabon Se Bhi Hoty Hen Ishary MOHABAT k....



Yeh soch kar teri mehfil main chala aya hon "Faraz"
Teri sohbat mein rahonga toh sanwar jaonga.



Yehi soch kr us ki har baat ko such mana hy Faraz.
k itney khubsoorat lab jhoot kaisey bolein gay..



Mere lafzon ki pehchaan agar kar leta wo
"FÄRÅÅZ"....
Use mujh se nahi khud se hi muhabbat ho jati....



Us ki "NIGAH" main itna assar tha, "FARAZ"
Khared li us ne aik nazar main zindagi humari..!



..~~Woh bazahir to mila tha ik lamhay ko FRAAZ...

...~~Umr sari chahiye usko bhulane k liye....~~



jab uska dard mere saath wafa karta hai
ek samundar meri aankhon se baha karta hai
uski batain mujhe khushbu ki tarah lagti hain
phool jaise koi sehra main khila karta hai
mere dost ki pehchan yehi kafi hai
wo her shakhs ko danista khafa karta hai
jab khazan aaye to lot aaye ga who bhi FARAZ
who baharon main zara kam hi mila karta hai.



Aqal waalon ke muqadar main ye zok-e-janun kahan FARAZ
Yeh ishq waale hain jo her cheez luta dete hain



Us ke marne pe bohat log jama they FARAZ
Zindagi bhar jo tarasta raha logon ke liye



Wo bewafa na tha younhi badnaam ho gaya FARAZ
Hazaroun chahne waley they wo kis kis se wafa karta….?




Phir itne mayoos kyun ho us ki bewafaai per FARAZ
Tum khud hi to kehte they ke wo sab se juda hai.



Un ke andaz-e-karam un pe wo aana dil ka
Haae wo waqat, wo batain, wo zamana dil ka
Na suna us ne tawajo se fasana dil ka
Umar guzri par dard na jana dil ka
Dil lagi, dil ki lagi ban ke mita daiti hai
Rog dushman ko bhi ya rub na lagana dil ka
Wo bhi apne na huwe dil bhi gaya hathon se
Aise aane se to behtar hai na aana dil ka
Un ki mehfil main FARAZ un k tabasum ki qasam
Hum daikhte reh gaye hath se jana un ka…..



Rooth jane ki adaa ham ko bhi aati hai FARAZ
Kash hota koi ham ko bhi manane wala



wo janta tha uski muskurahat mujhe pasand hai FARAZ
us ne jab bhi dard dia muskurate huwe dia



kis kis se muhabbat ke wade kiye hain tu ne FARAZ
her roz ek naya shakhs tera naam poochta hai……..



Kitabon se daleelain doon ya khud ko samne rakh doon FARAZ
Wo mujh se pooch bethi hai muhabat kis ko kehte hain



" Tum mujhy moqa to 2 aitbar bnaney ka,,,,,, "FARAZ"
" Thak jao gey meri wafa k sath chaltey chaltey......!!!



>>Wäfä Ki Lääj men Us Ko Mänä Letey To Achä Thä FARAZ,,
>>Annä Ki Jung Mein Aksär Judäi Jeet Jäti Häi....



Kanch ki tarha hotay hain Gharebon k DIL "FARAZ"
Kabhi toot Jatay hain to kabhi toor diye Jatay hain..!!



Nakaam thi meri sub koshishein us ko mananay ki "FARAZ",,,,,,,
Pata nahi Kahan sey sekhein zalim ne adaein rooth janay ki...!¤





U$ säy bìchhry tø mälòom huä k mäut bhì kòi chééz häi "FARAZ"
Zìñdägi wö thee jö hum u$ki mèhfìl mèiñ guzäar aäyè.



"Umeed-e-Wafaa" Na Rakh Un "Logon" Se """FARAAZ""",,,,,

Jo "Miltay" Hain Kisi Se, Hotay Hain Kisi Ke.



,,,,Ham ne suna tha k ...DOST... Wafa karte hain faraz,,,,
,,,,jab ham ne kiya ...BHAROSA... to rewayat hi badal gayi,,,,



Barbaad Honay K Aur Bhi Rastay They..FARAZ
Na Janey Hamen Muhabbat Ka Hi KhayaaL Q Aaya...



Bus yahi aadat uski mujhy aachi lgti hai¤FARAZ¤
Oodas kar k mujy khud B wo khush nahi rehta..



Hajoom-e dostan se jab kabi fursat mily tum ko faraz!
Agar samjho munasib to humein bhi yaad kar lena.,



Humary baad nahin Aayega tomhein chahat ka aisa maza FARAZ
Tum logon se khud kehty phiro ge k mujhe chaho us ki Tarah;



Iss Tarha Ghour Se Mat Dekh Mera Haath ae FARAZ , ,
In Lakeeron Mein Hasraton Ke Siwa Kuch Bhi Nahi.



Itna na yaad aaya karo k raat bhar so na sakain,,,,, @faraz@
Subah ko surkh Aankhon ka sabab poochtay hain log.......



Kabi Kabi To Ro Parti Hain Yunhi Ankhen
Udas Hone Ka Koi Sabab Nhi Hota
Mai Apne DiL Ko Ye Baat Kese Smjhaun Faraz
K Kisi Ko Chahne Se Koi Apna Nhi Hota....!





Kitna khof hota hy shaam k andheron mein Fraaz...
Pooch un prindon se jin k ghar nhi hote



Main wafa ka konsa saleeka ikhtyar karoon FARAZ. . ..
Usay yakeen ho jaye k mujy wo har ek se pyara hai...



Mefal sa uth k jana to koi baat na thi FARAZ.
Mera mur mur k dakhna usy badnam kar gea.



Mujhko maloom nahi husn ki tarif faraz,
meri nazron main haseen wo hai jo tujh jaisa ho.



Qasoor nhi is mein kuch bi unka Faraz..,
Humari chahat hi itni thi k unhein ghuroor aa gya.



Samandar Me Fana Hona, to Qismat ki Kahani hai "FARAZ"...
Jo Marte hain kinaron pe, Mujhe Dukh un pe hota hai..!!



Tapti rahi hai aas ki kirno pe zindagi
Lamhe judayion k maa-o-saal ho gaye
Jo kabhi her roz mila karty thy FARAZ
Wo chehry to ab khawab-o-khayal ho gaye.



Tu kisi oor k leye hoga samndar-e- ishq faraz,
hum tu roz tere sahil se peyase guzar jatey hain.



Usay teri ibadaton pe yaqeen he nahein..... @~"FARAZ"~@
Jis ki khushian tu RAB se ro ro k maangta he...



Uss ki jafaaon ne mujhey ik tehzeeb sikha di hai "faraz...
Main rotey huway so jata hun par shikwa nahin karta..




Uss shakhs say wabasta khush fehmi ka ye alam hai, "Faraz",
Maut ki hichki ai to main samjha k uss nay YAAD kia...!



Wafa ki aj bhi Qadar wohi hai FARAZ...!!!
Fakat mit chuke hain toot k chahne wale..



Ye Keh kr Mere Dushman Muje Hansta Chorrh Gey,, ''faraz'
Tere Dost Kaafi hai tuje rulanay k Liye.



Ye zalzaley yon hi besabab nahi atey "FRAAZ"
Zror zameen k nechey koi dewana tarapta hoga.

1 comment:

  1. THanks friend very nice add me on facebook. avista82@yahoo.com and also kamranisbest@gmail.com and also kamran_yaqoon@yhaoo.com !!!!!!!!!!!

    ReplyDelete