Wednesday, May 12, 2010
वसीम बरेलवी WASEEM BARELVI - Ghazals, Nazms, Mushaira
mujhe bujhaa de, meraa dard muKhtasar kar de
magar diye kii tarah mujh ko mo’atbar kar de
(muKhtasar : shorten; mo’atbar : trustworthy)
merii talaash ko be-naam-o-be-safar kar de
maiN teraa raastaa chhoRuuN to dar-ba-dar kar de
(be-naam-o-be-safar : without name and destination; dar-ba-dar : homeless)
judaaiiyoN kii ye raateN to kaaTnii hoNgii
kahaaniyoN ko ko’ii kaise muKhtasar kar de
tere Khayaal ke haathoN kuch aisaa bikhraa huuN
ke jaise bachaa kitaabeN idhar-udhar kar de
-----------------------------------------------------------------------------------------
maiN is ummiid pe Duubaa ke tuu bachaa legaa
ab iske baad meraa imtihaan kyaa legaa
ye ek melaa hai, vaadaa kisii se kyaa legaa
dhalegaa din to har ek apnaa raastaa legaa
maiN bujh gayaa to hameshaa ko bujh hi jaauuNgaa
ko’ii chiraagh nahiiN huN jo phir jalaa legaa
kalejaa chaahiye dushman se dushmanii ke liye
jo be-amal vo badlaa kisii se kyaa legaa
hazaar toR ke aa jaauuN us se rishtaa “Waseem”
maiN jaantaa huN vo jab chaahegaa bulaa legaa
-----------------------------------------------------------------------------------------
dareechoN tak chale aaye tumhare daur ke khatre
ham apne ghar se baahar jhaankne ka hauslaa bhi kho baithe
—
wo apne waqt ke nasshe mein khushiaN chhin le tujhse
magar jab tum hansee baantoN to usko bhool mat jaana
—
apne har har lafz ka khud aaiinaa ho jaaoongaa
us ko chhota kah ke main kaise badaa ho jaaoongaa
tum giraane mein lage the tum ne sochaa hi nahiin
main giraa to maslaa ban kar khadaa ho jaaoongaa
mujh ko chlane do, akelaa hai abhi meraa safar
raastaa rokaa gayaa to qaafila ho jaaoongaa
saari duniya ki nazar mein hai meraa ahd-e-vafaa
ek tere kahne se kya main bevafaa ho jaaoongaa
-----------------------------------------------------------------------------------------
आते-आते मेरा नाम सा रह गया !
उस के होंठों पे कुछ काँपता रह गया!!
वो मेरे सामने ही गया और मैं !
रास्ते की तरफ देखता रह गया !!
झूठ वाले कहीं से कहीं बढ़ गये !
और मैं था कि सच बोलता रह गया!!
आँधियों के इरादे तो अच्छे न थे!
ये दिया कैसे जलता रह गया !!
-----------------------------------------------------------------------------------------
सब ने मिलाये हाथ यहा तिरगी के साथ! ( तिरगी = काळोख )
कितना बडा मजाक हुवा रोशनी के साथ!!
शर्ते लगायी जाती नही दोस्ति के साथ !
किजीये मुझे कबुल मेरी हर कमी के साथ!!
-----------------------------------------------------------------------------------------
Mohabbat me buri neeyat se kuch socha nahi jata
Kaha jata hai usko bewafa samjha nahi jata
Jhukata hai yeh sar jiski ibadat ke liye us tak
Tera jazba to jata hai tera sajda nahi jata
Tumhare sath me koi nayapan hai to bas yeh hai
Bohat taqleef deta hai magar chooda nahi jata
-----------------------------------------------------------------------------------------
अपने चेहरे से जो ज़ाहिर है छुपायें कैसे
तेरी मर्ज़ी के मुताबिक नज़र आयें कैसे
घर सजाने का तस्सवुर तो बहुत बाद का है
पहले ये तय हो कि इस घर को बचायें कैसे
क़हक़हा आँख का बरताव बदल देता है
हँसनेवाले तुझे आँसू नज़र आयें कैसे
कोई अपनी ही नज़र से तो हमें देखेगा
एक क़तरे को समुन्दर नज़र आयें कैसे
-----------------------------------------------------------------------------------------
उसूलों पे जहाँ आँच आये टकराना ज़रूरी है
जो ज़िन्दा हों तो फिर ज़िन्दा नज़र आना ज़रूरी है
नई उम्रों की ख़ुदमुख़्तारियों को कौन समझाये
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है
थके हारे परिन्दे जब बसेरे के लिये लौटे
सलीक़ामन्द शाख़ों का लचक जाना ज़रूरी है
बहुत बेबाक आँखों में त’अल्लुक़ टिक नहीं पाता
मुहब्बत में कशिश रखने को शर्माना ज़रूरी है
सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है
मेरे होंठों पे अपनी प्यास रख दो और फिर सोचो
कि इस के बाद भी दुनिया में कुछ पाना ज़रूरी है
---------------------------------------------------------------------
Aate aate meraa naam saa rah gayaa
Us ke honthon pe kuchh kaanpataa rah gayaa
Vo mere saamane hii gayaa aur main
raaste kii tarah dekhataa rah gayaa
Jhuuth vaale kahin se kahin badh gaye
aur main thaa ki sach bolataa rah gayaa
Andhiyon ke iraade to achchhe na the
Ye diyaa kaise jalataa huaa rah gayaa !!
----------------------------------------------------------------------------------
Zara sa qatra kaheen aj agar ubharta hai
Samandron hi k lahje may bat karta hai
Khuli chaton k diye kab ke bujh gye hote
Koi to hai jo hawaon k par kutarta hai
Sharafton ki yahan koi ahmiyat hi nahi
Kisi ka kuch na bigaro to kon darta hai
Zameen ki kaisi waqalat ho phir nahi chalti
Jab asman se koi faisla utarta hai
Tum aa gye ho to phir kuch chandni si batain hon
Zameen pe chand kahan roz roz utarta hai
----------------------------------------------------------------------------------------
Mili hawaon may urne ki wo saza yaro
K main zameen k rishton se kat gya yaro
Wo be khayal musafir main rasta yaro
Kahan tha bas may mere us ko rokna yaro
Mere qalam pe zamane ki gard aisi thi
Ke apne bare may kuch bhi na likh saka yaro
Tamam shahar hi jis ki talash may gum tha
Main us k ghar ka pta kis se poochta yaro
------------------------------------------------------------------------------------
Main chahta bhi yehi tha wo bewafa nikle
Use samjhane ka koi to silsila nikle
Kitab e mazi k auraq ulat ke daikh zra
Na jane kon sa safah mura hua nikle
Jo daikhne may bohut hi qareeb lagta hai
Usi k bare may socho to fasla nikle
------------------------------------------------------------------------------------
Main apne Khab se bichra nazar nahi ata
Tu is sadi may akaila nazar nahi ata
Ajab dabao hai in bahri hawaon ka
Gharon ka bojh bhi uthata nazar nahi ata
Main ek sada pe hamesha ko ghar chor aya tha
Magar pukarne wala nazar nahi ata
Main teri rah se hatane ko hat gya laikin
Mujhe to koi bhi rasta nazar nahi ata
Dhoan bhara hai yahan sabhi ki ankhon may
Kisi ko ghar mera jalta nazar nahi ata
--------------------------------------------------------------------------------
Lahoo na ho to kalam tarjuman nahi hota
Hamare dor may ansoo bezuban nahi hota
Jahan rahe ga waheen roshani lotaye ga
Kisi chirag ka apna makan nahi hota
Ye kis maqam pe layi hai meri tanhai
K mujh se aaj koi badguman nahi hota
Main us ko bhool gya hoon ye kon mane ga
Kisi chirag k bas may dhooan nahi hota
`Wasim` sadyon ki ankhon se dekhye mujh ko
Wo lafz hoon jo kabhi dastan nahi hota
-----------------------------------------------------------------------------------------
Apne har har lafz ka Khud ayina ho jaoon ga
Us ko chota kah ke main kaise bara ho jaoon ga
Tum girne may lage the tum ne socha hi nahi
Main gira tu masla ban kar khara ho jaoon ga
Mujh ko chalne do akaila hai abhi mera safar
Rasta roka gya tu qafila ho jaoon ga
Sari dunya ki nazar may hai mera ahad e wafa
Ek tere kahne se kya main bewafa ho jaoon ga
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment